roz badli hui duniya ki faza dekhte hain
roz badlī huī duniyā kī fazā dekhte haiñ
aaj kis samt meñ chaltī hai havā dekhte haiñ
jo bhī hotā hai vo hotā hai umīdoñ ke ḳhilāf
dil meñ kyā sochte haiñ aañkh se kyā dekhte haiñ
pahle sunte the kahīñ qatl huā hai koī
ab to ye khel shab-o-roz khulā dekhte haiñ
ham kahīñ aag bujhāne ke liye nikle the
vāpas aa.e haiñ to ghar apnā jalā dekhte haiñ
qatl-o-ḳhūñ band huā raqs-e-junūñ ḳhatm huā
shahr meñ kaun marā kaun jiyā dekhte haiñ
mudda.ā ḳhud unheñ mālūm hai palkeñ nam rakh
vo talabgār kā andāz-e-duā dekhte haiñ
us ke anjām se dil kāñpne lagtā hai 'zafar'
jab sar-e-shām koī phuul khilā dekhte haiñ
roz badli hui duniya ki faza dekhte hain
aaj kis samt mein chalti hai hawa dekhte hain
jo bhi hota hai wo hota hai umidon ke KHilaf
dil mein kya sochte hain aankh se kya dekhte hain
pahle sunte the kahin qatl hua hai koi
ab to ye khel shab-o-roz khula dekhte hain
hum kahin aag bujhane ke liye nikle the
wapas aae hain to ghar apna jala dekhte hain
qatl-o-KHun band hua raqs-e-junun KHatm hua
shahr mein kaun mara kaun jiya dekhte hain
muddaa KHud unhen malum hai palken nam rakh
wo talabgar ka andaz-e-dua dekhte hain
us ke anjam se dil kanpne lagta hai 'zafar'
jab sar-e-sham koi phul khila dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.