roz chhapti hai ye KHabar taza
roz chhaptī hai ye ḳhabar taaza
jal ga.e be gharoñ ke ghar taaza
yuuñ musallat darindagī hai yahāñ
ḳhuun pī kar huā bashar taaza
tīra-o-tār laila-e-shab se
phūTtī hai na.ī sahar taaza
ashk bahte haiñ chashm-e-ġhurbat se
haath meñ zulm ke hai zar taaza
dard meñ bhīgtā rahā sāhil
mauj kartī rahī safar taaza
kaise parvāz-e-fikr meñ ho jumūd
haiñ abhī fan ke bāl-o-par taaza
dard-o-ġham ke gahan meñ jal kar bhī
'qudsī' raqsāñ rahā qamar taaza
roz chhapti hai ye KHabar taza
jal gae be gharon ke ghar taza
yun musallat darindagi hai yahan
KHun pi kar hua bashar taza
tira-o-tar laila-e-shab se
phuTti hai nai sahar taza
ashk bahte hain chashm-e-ghurbat se
hath mein zulm ke hai zar taza
dard mein bhigta raha sahil
mauj karti rahi safar taza
kaise parwaz-e-fikr mein ho jumud
hain abhi fan ke baal-o-par taza
dard-o-gham ke gahan mein jal kar bhi
'qudsi' raqsan raha qamar taza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.