roz dekha hai shafaq se wo pighalta sona
roz dekhā hai shafaq se vo pighaltā sonā
roz sochā hai ki tum mere ho mere ho nā
maiñ to ik kāñch ke dariyā meñ bahī jaatī huuñ
khankhanāte hue hamrāz mujhe sun lo nā
maiñ ne kānoñ meñ pahan lī hai tumhārī āvāz
ab mire vāste be-kār haiñ chāñdī sonā
merī ḳhāmoshī ko chupke se sajā do aa kar
ik ġhazal tum bhī mire naam kabhī likkho nā
ruuh meñ giit utar jaate haiñ jaise ḳhushbū
gungunātī sī koī shaam mujhe bhejo nā
chāñdnī os ke qatroñ meñ simaT jā.egī
tīrgī sub.h savere meñ kahīñ kho do nā
phir se āñkhoñ meñ koī rañg sajā luuñ 'naināñ'
kab se ḳhvāboñ ko yahāñ bhuul ga.ī thī bonā
roz dekha hai shafaq se wo pighalta sona
roz socha hai ki tum mere ho mere ho na
main to ek kanch ke dariya mein bahi jati hun
khankhanate hue hamraaz mujhe sun lo na
main ne kanon mein pahan li hai tumhaari aawaz
ab mere waste be-kar hain chandi sona
meri KHamoshi ko chupke se saja do aa kar
ek ghazal tum bhi mere nam kabhi likkho na
ruh mein git utar jate hain jaise KHushbu
gungunati si koi sham mujhe bhejo na
chandni os ke qatron mein simaT jaegi
tirgi subh sawere mein kahin kho do na
phir se aankhon mein koi rang saja lun 'nainan'
kab se KHwabon ko yahan bhul gai thi bona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.