roz-e-awwal hi KHata-kar banaya gaya hun
roz-e-avval hī ḳhatā-kār banāyā gayā huuñ
aur phir ashraf-e-maḳhlūq batāyā gayā huuñ
TūTne aur bikharne pe hai vāvailā kyoñ
dekhiye kitnī bulandī se girāyā gayā huuñ
iḳhtiyārāt se taqdīr se kyā lenā hai
vaqt kī gard meñ tinkā sā uḌāyā gayā huuñ
zindagī ek Dagar par hī kahāñ chaltī hai
kabhī dīvār kabhī dil se lagāyā gayā huuñ
donoñ hāthoñ se luTāte hue ye to socheñ
kitnī mehnat se mohabbat se kamāyā gayā huuñ
maiñ na yūsuf huuñ na hai koī ḳharīdār mirā
jaane kyā soch ke bāzār meñ laayā gayā huuñ
imtihāñ dene talak yaad jinheñ rakhā jaa.e
un savālāt kī mānind bhulāyā gayā huuñ
nok-e-ḳhanjar se sahī vaqt ke hāthoñ lekin
gudgudī kar ke ka.ī baar hañsāyā gayā huuñ
is zamāne kā huuñ maiñ ek hañsī kā maqrūz
jis kī pādāsh meñ ik umr rulāyā gayā huuñ
mas.ala yuuñ hī nahīñ pesh fishār-e-ḳhūñ kā
ḳhud se uljhāyā gayā aur laḌāyā gayā huuñ
ajnabī log zamīñ-zād nahīñ lagte haiñ
aur sayyāre pe shāyad maiñ basāyā gayā huuñ
confucius ho ki nānak ho ki buddhā gautam
so tarīqoñ se sabaq ek paḌhāyā gayā huuñ
laakh pardoñ meñ sahī merī haqīqat malfūf
maiñ ba-har-rañg zamāne ko dikhāyā gayā huuñ
mujh ko māhaul muāfiq nahīñ aayā 'jāzib'
phuul huuñ aur sar-e-dasht khilāyā gayā huuñ
roz-e-awwal hi KHata-kar banaya gaya hun
aur phir ashraf-e-maKHluq bataya gaya hun
TuTne aur bikharne pe hai wawaila kyon
dekhiye kitni bulandi se giraya gaya hun
iKHtiyaraat se taqdir se kya lena hai
waqt ki gard mein tinka sa uDaya gaya hun
zindagi ek Dagar par hi kahan chalti hai
kabhi diwar kabhi dil se lagaya gaya hun
donon hathon se luTate hue ye to sochen
kitni mehnat se mohabbat se kamaya gaya hun
main na yusuf hun na hai koi KHaridar mera
jaane kya soch ke bazar mein laya gaya hun
imtihan dene talak yaad jinhen rakha jae
un sawalat ki manind bhulaya gaya hun
nok-e-KHanjar se sahi waqt ke hathon lekin
gudgudi kar ke kai bar hansaya gaya hun
is zamane ka hun main ek hansi ka maqruz
jis ki padash mein ek umr rulaya gaya hun
masala yun hi nahin pesh fishaar-e-KHun ka
KHud se uljhaya gaya aur laDaya gaya hun
ajnabi log zamin-zad nahin lagte hain
aur sayyare pe shayad main basaya gaya hun
confucius ho ki nanak ho ki buddha gautam
so tariqon se sabaq ek paDhaya gaya hun
lakh pardon mein sahi meri haqiqat malfuf
main ba-har-rang zamane ko dikhaya gaya hun
mujh ko mahaul muafiq nahin aaya 'jazib'
phul hun aur sar-e-dasht khilaya gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.