roz-e-maulud se sath apne hua gham paida
roz-e-maulūd se saath apne huā ġham paidā
lāla-sāñ daaġh uThāne ko hue ham paidā
huuñ maiñ vo naḳhl ki har shāḳh mirī aarā hai
huuñ maiñ vo shāḳh ki hoñ barg-e-tabardam paidā
maiñ jo rotā huuñ mire zaḳhm-e-jigar hañste haiñ
shādī o ġham se kyā hai mujh tauam paidā
chāhne vaale hazāroñ na.e maujūd hue
ḳhat ne us gul ke kiyā aur hī 'ālam paidā
dard sar meñ ho kisī ke to mire dil meñ ho dard
vāste mere huā hai ġham-e-ālam paidā
zaḳhm-e-ḳhandāñ haiñ ba-'ainih lab-e-ḳhandāñ apne
shādmānī meñ hai yaañ hālat-e-mātam paidā
āsmāñ shauq se talvāroñ kā meñh barsā de
mah-e-nau ne tire abrū kā kiyā ḳham paidā
kaam apnā na huā jab kajī-e-abrū se
gesū-e-yār hue darham-o-barham paidā
shub.h hotā hai sadaf kā mujhe har ġhunche par
kahīñ motī na kareñ qatra-e-shabnam paidā
chup raho duur karo muñh na mirā khulvāo
ġhāfilo zaḳhm-e-zabāñ kā nahīñ marham paidā
qulzum-e-fikr meñ har-chand lagā.e ġhote
dur-e-mazmūñ koī yāroñ se huā kam paidā
dost hī dushman-e-jāñ ho gayā apnā 'ātish'
nosh-dāroñ ne kiyā yaañ asar-e-sam paidā
roz-e-maulud se sath apne hua gham paida
lala-san dagh uThane ko hue hum paida
hun main wo naKHl ki har shaKH meri aara hai
hun main wo shaKH ki hon barg-e-tabardam paida
main jo rota hun mere zaKHm-e-jigar hanste hain
shadi o gham se kya hai mujh tauam paida
chahne wale hazaron nae maujud hue
KHat ne us gul ke kiya aur hi 'alam paida
dard sar mein ho kisi ke to mere dil mein ho dard
waste mere hua hai gham-e-alam paida
zaKHm-e-KHandan hain ba-'ainih lab-e-KHandan apne
shadmani mein hai yan haalat-e-matam paida
aasman shauq se talwaron ka meinh barsa de
mah-e-nau ne tere abru ka kiya KHam paida
kaam apna na hua jab kaji-e-abru se
gesu-e-yar hue darham-o-barham paida
shubh hota hai sadaf ka mujhe har ghunche par
kahin moti na karen qatra-e-shabnam paida
chup raho dur karo munh na mera khulwao
ghafilo zaKHm-e-zaban ka nahin marham paida
qulzum-e-fikr mein har-chand lagae ghote
dur-e-mazmun koi yaron se hua kam paida
dost hi dushman-e-jaan ho gaya apna 'atish'
nosh-daron ne kiya yan asar-e-sam paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.