roz main ek shajar se milta hun
roz maiñ ik shajar se miltā huuñ
zindagī kyā bhañvar se miltā huuñ
is se pahle udāsī chhā jaa.e
maiñ ḳhushī kī ḳhabar se miltā huuñ
ishq meñ kaun dil jalā.e ab
vajd meñ ik safar se miltā huuñ
shahr-e-ummīd mujh se vāqif hai
is liye karr-o-far se miltā huuñ
maiñ huuñ ik hādisa ga.ī rut kā
qissa-e-motabar se miltā huuñ
kostī rah ga.ī zamīñ mujh ko
roz zer-o-zabar se miltā huuñ
maiñ ki bīmār dil nahīñ lekin
roz ik chārāgar se miltā huuñ
roz main ek shajar se milta hun
zindagi kya bhanwar se milta hun
is se pahle udasi chha jae
main KHushi ki KHabar se milta hun
ishq mein kaun dil jalae ab
wajd mein ek safar se milta hun
shahr-e-ummid mujh se waqif hai
is liye karr-o-far se milta hun
main hun ek hadisa gai rut ka
qissa-e-motabar se milta hun
kosti rah gai zamin mujh ko
roz zer-o-zabar se milta hun
main ki bimar dil nahin lekin
roz ek chaaragar se milta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.