roz nae kartab dikhlae jadugar
roz na.e kartab dikhlā.e jādūgar
duniyā kā matlab samjhā.e jādūgar
tum kahte ho har dam hañstā rahtā hai
aañsū par paivand lagā.e jādūgar
dekh ke us ko yuuñ saare taalī piiTe
ūñchā.ī se jab gir jaa.e jādūgar
baaqī to paanī se aag bujhāte haiñ
aur paanī meñ aag lagā.e jādūgar
saare darzī kapḌe kaaTā karte haiñ
insāñ ke TukḌe kar jaa.e jādūgar
log yahāñ chiñgārī se Dar jaate haiñ
apne muñh se aag uḌaa.e jādūgar
likhnā to alfāz kī herā-pherī hai
ḳhud ko ab 'irfān' batā.e jādūgar
roz nae kartab dikhlae jadugar
duniya ka matlab samjhae jadugar
tum kahte ho har dam hansta rahta hai
aansu par paiwand lagae jadugar
dekh ke us ko yun sare tali piTe
unchai se jab gir jae jadugar
baqi to pani se aag bujhate hain
aur pani mein aag lagae jadugar
sare darzi kapDe kaTa karte hain
insan ke TukDe kar jae jadugar
log yahan chingari se Dar jate hain
apne munh se aag uDae jadugar
likhna to alfaz ki hera-pheri hai
KHud ko ab 'irfan' batae jadugar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.