roz-o-shab humne ashk-bari ki
roz-o-shab ham ne ashk-bārī kī
intihā hai ye be-qarārī kī
merā dāman siyāh thā phir bhī
ai ḳhudā tū ne pāsdārī kī
jaane kab kā maiñ mar gayā hotā
un kī yādoñ ne ābiyārī kī
kostā hī rahā mujhe har dam
qadr kyā jaane vo bhikārī kī
ḳhaak huuñ ḳhaak meñ hī milnā hai
bū bhī aatī hai ḳhāksārī kī
kaam maiñ ne kiyā musavvir kā
maiñ ne sheroñ meñ dast-kārī kī
maiñ to majnūn ban gayā 'bismil'
mujh pe logoñ ne sañg-bārī kī
roz-o-shab hum ne ashk-bari ki
intiha hai ye be-qarari ki
mera daman siyah tha phir bhi
ai KHuda tu ne pasdari ki
jaane kab ka main mar gaya hota
un ki yaadon ne aabiyari ki
kosta hi raha mujhe har dam
qadr kya jaane wo bhikari ki
KHak hun KHak mein hi milna hai
bu bhi aati hai KHaksari ki
kaam main ne kiya musawwir ka
main ne sheron mein dast-kari ki
main to majnun ban gaya 'bismil'
mujh pe logon ne sang-bari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.