roz-o-shab husn-e-ruKH-e-yar pe hairan hona
roz-o-shab husn-e-ruḳh-e-yār pe hairāñ honā
hai mohabbat meñ yahī sāhab-e-īmāñ honā
sāneha ye bhī ajab ishq meñ mujh par guzrā
merī ummīd ke gulshan kā bayābāñ honā
husn ke nāḳhun-e-tadbīr se kyā mushkil hai
ishq ke uqda-e-dushvār kā āsāñ honā
qatra-e-ashk kī chilman se nigah ne dekhā
un ke hoñToñ pe tabassum kā numāyāñ honā
ik na.ī tarz-e-jafā ishq meñ ījād huī
us ne sīkhā hai jafāoñ pe pashemāñ honā
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ye mohabbat kyā hai
un ko pā kar bhī unhīñ ke liye hairāñ honā
rāt-bhar merī nigāhoñ ne ye manzar dekhā
chāñd kā abr meñ chhup-chhup ke numāyāñ honā
maiñ ne kuchh faiz har ustād se paayā hai 'jalīl'
tab kahīñ jā ke mayassar hai suḳhan-dāñ honā
roz-o-shab husn-e-ruKH-e-yar pe hairan hona
hai mohabbat mein yahi sahab-e-iman hona
saneha ye bhi ajab ishq mein mujh par guzra
meri ummid ke gulshan ka bayaban hona
husn ke naKHun-e-tadbir se kya mushkil hai
ishq ke uqda-e-dushwar ka aasan hona
qatra-e-ashk ki chilman se nigah ne dekha
un ke honTon pe tabassum ka numayan hona
ek nai tarz-e-jafa ishq mein ijad hui
us ne sikha hai jafaon pe pasheman hona
kuchh samajh mein nahin aata ye mohabbat kya hai
un ko pa kar bhi unhin ke liye hairan hona
raat-bhar meri nigahon ne ye manzar dekha
chand ka abr mein chhup-chhup ke numayan hona
main ne kuchh faiz har ustad se paya hai 'jalil'
tab kahin ja ke mayassar hai suKHan-dan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.