roz pani kahan mayassar hai
roz paanī kahāñ mayassar hai
zindagī ret kā samundar hai
kis qadar dil-fareb manzar hai
ek mīnār ik kabūtar hai
rāstoñ meñ sukūn paatā huuñ
merā ghar mere ghar ke bāhar hai
apnī muTThī to khol duuñ lekin
merī muTThī meñ ik muqaddar hai
taaza sūraj kī den hai yaaro
phuul ke haath meñ bhī patthar hai
roz yādoñ ke phuul khilte haiñ
mere āñgan meñ ik sanobar hai
jaise jāgīr mil ga.ī ho use
kis qadar ḳhush mujhe gañvā kar hai
aap 'tāriq' miyāñ se miliyegā
aadmī kyā hai ik qalandar hai
roz pani kahan mayassar hai
zindagi ret ka samundar hai
kis qadar dil-fareb manzar hai
ek minar ek kabutar hai
raston mein sukun pata hun
mera ghar mere ghar ke bahar hai
apni muTThi to khol dun lekin
meri muTThi mein ek muqaddar hai
taza suraj ki den hai yaro
phul ke hath mein bhi patthar hai
roz yaadon ke phul khilte hain
mere aangan mein ek sanobar hai
jaise jagir mil gai ho use
kis qadar KHush mujhe ganwa kar hai
aap 'tariq' miyan se miliyega
aadmi kya hai ek qalandar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.