roz sham hote hi shama ka wo jal jaana
roz shaam hote hī sham.a kā vo jal jaanā
rafta rafta phir mujh meñ mom kā pighal jaanā
mutma.in nahīñ kartā chāhe mere haq meñ ho
Thokareñ binā khaa.e yuuñ mirā sañbhal jaanā
bhuul ek lamhe kī umr bhar pashemānī
chhūT kar kamāñ se yuuñ tiir kā vo chal jaanā
darmiyān donoñ ke haiñ tamām andeshe
hādse kā ho jaanā hādse kā Tal jaanā
mahfiloñ kī vo raunaq qahqahoñ kī vo gūñjeñ
aur phir achānak hī vaqt kā badal jaanā
kis qadar tilismī thā cigaretteñ sulagte hī
us tamām manzar kā ik dhueñ meñ Dhal jaanā
is talab ko kyā kahiye is junūñ kā kyā kiije
ik ḳhayāl ke pīchhe yuuñ mirā nikal jaanā
roz sham hote hi shama ka wo jal jaana
rafta rafta phir mujh mein mom ka pighal jaana
mutmain nahin karta chahe mere haq mein ho
Thokaren bina khae yun mera sanbhal jaana
bhul ek lamhe ki umr bhar pashemani
chhuT kar kaman se yun tir ka wo chal jaana
darmiyan donon ke hain tamam andeshe
hadse ka ho jaana hadse ka Tal jaana
mahfilon ki wo raunaq qahqahon ki wo gunjen
aur phir achanak hi waqt ka badal jaana
kis qadar tilismi tha cigaretten sulagte hi
us tamam manzar ka ek dhuen mein Dhal jaana
is talab ko kya kahiye is junun ka kya kije
ek KHayal ke pichhe yun mera nikal jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.