roz tare shumar kaun kare
roz taare shumār kaun kare
jiit ko apnī haar kaun kare
tujh se dhoke mile sadā ham ko
tujh pe phir e.atibār kaun kare
bheḌiyoñ kā huā hai ye jangal
bheḌiyoñ kā shikār kaun kare
jo na aa.egā lauT kar vāpas
us kā dil intizār kaun kare
sochtī huuñ maiñ bevafā ke liye
haa.e dil be-qarār kaun kare
ishq kī auj par ho bāzīgarī
fikr ab sar kī yaar kaun kare
shor karne se rizq ho hāsil
ḳhāmushī iḳhtiyār kaun kare
mā-sivā tere siskiyāñ ai qalam
mujh pe ab āshkār kaun kare
baal ho aa.ine kī āñkhoñ meñ
phir ye 'fahmī' siñgār kaun kare
roz tare shumar kaun kare
jit ko apni haar kaun kare
tujh se dhoke mile sada hum ko
tujh pe phir eatibar kaun kare
bheDiyon ka hua hai ye jangal
bheDiyon ka shikar kaun kare
jo na aaega lauT kar wapas
us ka dil intizar kaun kare
sochti hun main bewafa ke liye
hae dil be-qarar kaun kare
ishq ki auj par ho bazigari
fikr ab sar ki yar kaun kare
shor karne se rizq ho hasil
KHamushi iKHtiyar kaun kare
ma-siwa tere siskiyan ai qalam
mujh pe ab aashkar kaun kare
baal ho aaine ki aankhon mein
phir ye 'fahmi' singar kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.