ruke hai aamad-o-shud mein nafas nahin chalta
ruke hai āmad-o-shud meñ nafas nahīñ chaltā
yahī hai hukm-e-ilāhī to bas nahīñ chaltā
havā ke ghoḌe pe rahtā hai vo savār mudām
kisī kā us ke barābar faras nahīñ chaltā
guzishta saal jo dekhā vo ab ke saal nahīñ
zamāna ek sā bas har baras nahīñ chaltā
nahīñ hai TuuTe kī buuTī jahān meñ paidā
shikasta jab huā tār-e-nafas nahīñ chaltā
ruke hai aamad-o-shud mein nafas nahin chalta
yahi hai hukm-e-ilahi to bas nahin chalta
hawa ke ghoDe pe rahta hai wo sawar mudam
kisi ka us ke barabar faras nahin chalta
guzishta sal jo dekha wo ab ke sal nahin
zamana ek sa bas har baras nahin chalta
nahin hai TuTe ki buTi jahan mein paida
shikasta jab hua tar-e-nafas nahin chalta
- Book : 1857 Ke Inquilab Ka Aini Shahid George Puech Shor (Pg. 185)
- Author : Dr. Rahat Abrar
- Publication : Educational Publishing House (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.