ruKH-e-arzu par hijab-e-mohabbat
ruḳh-e-ārzū par hijāb-e-mohabbat
khilā aur is se shabāb-e-mohabbat
sivā yaas ke maiñ ne dekhā na kuchh bhī
uThā.ī jab us ne naqāb-e-mohabbat
shikasta huā sāz-e-hastī hamārā
na chheḌe koī ab rabāb-e-mohabbat
hamārī fuġhāñ kī rasā.ī ho kyūñkar
ki ūñchī bahut hai janāb-e-mohabbat
nahīñ kuchh bhī tāsīr merī duā meñ
ye shāyad hai ahd-e-shabāb-e-mohabbat
uThātā huuñ āzār maiñ dil lagā kar
ba-ta.abīr-e-hasrat ba-ḳhvāb-e-mohabbat
'vafā' kū-e-ulfat se hargiz na haTnā
milegā yahīñ tum ko bāb-e-mohabbat
ruKH-e-arzu par hijab-e-mohabbat
khila aur is se shabab-e-mohabbat
siwa yas ke main ne dekha na kuchh bhi
uThai jab us ne naqab-e-mohabbat
shikasta hua saz-e-hasti hamara
na chheDe koi ab rabab-e-mohabbat
hamari fughan ki rasai ho kyunkar
ki unchi bahut hai janab-e-mohabbat
nahin kuchh bhi tasir meri dua mein
ye shayad hai ahd-e-shabab-e-mohabbat
uThata hun aazar main dil laga kar
ba-tabir-e-hasrat ba-KHwab-e-mohabbat
'wafa' ku-e-ulfat se hargiz na haTna
milega yahin tum ko bab-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.