ruKH-e-nigar se hai soz-e-jawidani-e-shama
ruḳh-e-nigār se hai soz-e-jāvidānī-e-sham.a
huī hai ātish-e-gul āb-e-zindagānī-e-sham.a
zabān-e-ahl-e-zabāñ meñ hai marg-e-ḳhāmoshī
ye baat bazm meñ raushan huī zabānī-e-sham.a
kare hai sarf ba-īmā-e-sho.ala qissa tamām
ba-tarz-e-ahl-e-fanā hai fasāna-ḳhvānī-e-sham.a
ġham us ko hasrat-e-parvāna kā hai ai sho.ale
tire larazne se zāhir hai nā-tavānī-e-sham.a
tire ḳhayāl se ruuh ehtizāz kartī hai
ba-jalva-rezi-e-bād-o-ba-par-fishānī-e-sham.a
nashāt-e-dāġh-e-ġham-e-ishq kī bahār na pūchh
shaguftagī hai shahīd-e-gul-e-ḳhizānī-e-sham.a
jale hai dekh ke bālīn-e-yār par mujh ko
na kyuuñ ho dil pe mire dāġh-e-bad-gumānī-e-sham.a
ruKH-e-nigar se hai soz-e-jawidani-e-shama
hui hai aatish-e-gul aab-e-zindagani-e-shama
zaban-e-ahl-e-zaban mein hai marg-e-KHamoshi
ye baat bazm mein raushan hui zabani-e-shama
kare hai sarf ba-ima-e-shoala qissa tamam
ba-tarz-e-ahl-e-fana hai fasana-KHwani-e-shama
gham us ko hasrat-e-parwana ka hai ai shoale
tere larazne se zahir hai na-tawani-e-shama
tere KHayal se ruh ehtizaz karti hai
ba-jalwa-rezi-e-baad-o-ba-par-fishani-e-shama
nashat-e-dagh-e-gham-e-ishq ki bahaar na puchh
shaguftagi hai shahid-e-gul-e-KHizani-e-shama
jale hai dekh ke baalin-e-yar par mujh ko
na kyun ho dil pe mere dagh-e-bad-gumani-e-shama
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.