ruKH-e-raushan pe safa loT gai
ruḳh-e-raushan pe safā loT ga.ī
zulf par kaalī balā loT ga.ī
sun ke gulshan meñ mire nāla-o-āh
bulbul-e-naġhma-sarā loT ga.ī
us but-e-mast pe mai-ḳhāne meñ
duḳhtar-e-raz ba-ḳhudā loT ga.ī
ham na marte us adā par lekin
paañv par aa ke qazā loT ga.ī
tañg huuñ apnī tabī.at se maiñ
jo hasīn is ko milā loT ga.ī
ai 'saḳhī' ḳhuub ġhazal tū ne kahī
sun ke tab-e-sho.arā loT ga.ī
ruKH-e-raushan pe safa loT gai
zulf par kali bala loT gai
sun ke gulshan mein mere nala-o-ah
bulbul-e-naghma-sara loT gai
us but-e-mast pe mai-KHane mein
duKHtar-e-raz ba-KHuda loT gai
hum na marte us ada par lekin
panw par aa ke qaza loT gai
tang hun apni tabiat se main
jo hasin is ko mila loT gai
ai 'saKHi' KHub ghazal tu ne kahi
sun ke tab-e-shoara loT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.