ruKH jo zer-e-sumbul-e-pur-pech-o-tab aa jaega
ruḳh jo zer-e-sumbul-e-pur-pech-o-tāb aa jā.egā
phir ke burj-e-sumbule meñ āftāb aa jā.egā
terā ehsāñ hogā qāsid gar shitāb aa jā.egā
sabr mujh ko dekh kar ḳhat kā javāb aa jā.egā
ho na betāb itnā gar us kā itaab aa jā.egā
tū ġhazab meñ ai dil-e-ḳhāna-ḳharāb aa jā.egā
is qadar ronā nahīñ behtar bas ab ashkoñ ko rok
varna tūfāñ dekh ai chashm-e-pur-āb aa jā.egā
pesh hovegā agar tere gunāhoñ kā hisāb
tañg zālim arsa-e-roz-e-hisāb aa jā.egā
dekh kar dast-e-sitam meñ terī teġh-e-ābdār
mere har zaḳhm-e-jigar ke muñh meñ aab aa jā.egā
apnī chashm-e-mast kī gardish na ai saaqī dikhā
dekh chakkar meñ abhī jām-e-sharāb aa jā.egā
ḳhuub hogā haañ jo siine se nikal jā.egā tū
chain mujh ko ai dil-e-pur-iztirāb aa jā.egā
ai 'zafar' uTh jā.egā jab parda-e-sharm-o-hijāb
sāmne vo yaar mere be-hijāb aa jā.egā
ruKH jo zer-e-sumbul-e-pur-pech-o-tab aa jaega
phir ke burj-e-sumbule mein aaftab aa jaega
tera ehsan hoga qasid gar shitab aa jaega
sabr mujh ko dekh kar KHat ka jawab aa jaega
ho na betab itna gar us ka itab aa jaega
tu ghazab mein ai dil-e-KHana-KHarab aa jaega
is qadar rona nahin behtar bas ab ashkon ko rok
warna tufan dekh ai chashm-e-pur-ab aa jaega
pesh howega agar tere gunahon ka hisab
tang zalim arsa-e-roz-e-hisab aa jaega
dekh kar dast-e-sitam mein teri tegh-e-abdar
mere har zaKHm-e-jigar ke munh mein aab aa jaega
apni chashm-e-mast ki gardish na ai saqi dikha
dekh chakkar mein abhi jam-e-sharab aa jaega
KHub hoga han jo sine se nikal jaega tu
chain mujh ko ai dil-e-pur-iztirab aa jaega
ai 'zafar' uTh jaega jab parda-e-sharm-o-hijab
samne wo yar mere be-hijab aa jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.