ruKH o zulf par jaan khoya kiya
ruḳh o zulf par jaan khoyā kiyā
añdhere ujāle meñ royā kiyā
hamesha likhe vasf-e-dandān-e-yār
qalam apnā motī piroyā kiyā
kahūñ kyā huī 'umr kyūñ-kar basar
maiñ jaagā kiyā baḳht soyā kiyā
rahī sabz be-fikr kisht-e-suḳhan
na jotā kiyā maiñ na boyā kiyā
brahman ko bātoñ kī hasrat rahī
ḳhudā ne butoñ ko na goyā kiyā
mazā ġham ke khāne kā jis ko paḌā
vo ashkoñ se haath apne dhoyā kiyā
zanaḳhdāñ se 'ātish' mohabbat rahī
kuñ.eñ meñ mujhe dil Duboyā kiyā
ruKH o zulf par jaan khoya kiya
andhere ujale mein roya kiya
hamesha likhe wasf-e-dandan-e-yar
qalam apna moti piroya kiya
kahun kya hui 'umr kyun-kar basar
main jaga kiya baKHt soya kiya
rahi sabz be-fikr kisht-e-suKHan
na jota kiya main na boya kiya
brahman ko baaton ki hasrat rahi
KHuda ne buton ko na goya kiya
maza gham ke khane ka jis ko paDa
wo ashkon se hath apne dhoya kiya
zanaKHdan se 'atish' mohabbat rahi
kunen mein mujhe dil Duboya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.