ruKH par rahi wo zulf-e-moambar tamam raat
ruKH par rahi wo zulf-e-moambar tamam raat
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
ruḳh par rahī vo zulf-e-mo.ambar tamām raat
raushan na vasl meñ huā ye ghar tamām raat
dekhā to ġhaur se tire bīmār ko nahīñ
us par paḌī rahī hai ye chādar tamām raat
dil ko bhī bhuul bhuul gayā be-ḳhudī meñ kuchh
DhūñDā kiyā maiñ kal jo tirā ghar tamām raat
hovegā qatl sub.h ko koī jo saḳht-jāñ
karte rahe haiñ tez vo ḳhanjar tamām raat
'ārif' nahīñ hai ham ko subūhī kī ehtiyāt
lete haiñ nām-e-sāqī-e-kausar tamām raat
ruKH par rahi wo zulf-e-moambar tamam raat
raushan na wasl mein hua ye ghar tamam raat
dekha to ghaur se tere bimar ko nahin
us par paDi rahi hai ye chadar tamam raat
dil ko bhi bhul bhul gaya be-KHudi mein kuchh
DhunDa kiya main kal jo tera ghar tamam raat
howega qatl subh ko koi jo saKHt-jaan
karte rahe hain tez wo KHanjar tamam raat
'arif' nahin hai hum ko subuhi ki ehtiyat
lete hain nam-e-saqi-e-kausar tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.