ruKH pe apne naqab rahne de
ruḳh pe apne naqāb rahne de
darmiyāñ ik hijāb rahne de
sa.i-e-paiham kī siskiyoñ pe na jā
shauq meñ pech-o-tāb rahne de
dil kā ā.īna hai javāb tirā
hai bhī tū lā-javāb rahne de
jurm mere kahāñ tirī rahmat
ye hisāb-o-kitāb rahne de
phir kahīñ kho ke rah na jaa.e 'ḳhalīl'
izn-e-chañg-o-rabāb rahne de
ruKH pe apne naqab rahne de
darmiyan ek hijab rahne de
sai-e-paiham ki siskiyon pe na ja
shauq mein pech-o-tab rahne de
dil ka aaina hai jawab tera
hai bhi tu la-jawab rahne de
jurm mere kahan teri rahmat
ye hisab-o-kitab rahne de
phir kahin kho ke rah na jae 'KHalil'
izn-e-chang-o-rabab rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.