ruKH se naqab apne haTaya na kijiye
ruḳh se naqāb apne haTāyā na kījiye
badlī meñ ham ko chāñd dikhāyā na kījiye
muddat se muntazir hai kareñ aap se savāl
ḳhāmosh rah ke ham ko satāyā na kījiye
rusvā.iyoñ se ishq kī lagtā hai Dar mujhe
maazī kī dāstān sunāyā na kījiye
daurān-e-ishq meñ maiñ bahut royā kiyā huuñ
le le ke un kā naam rulāyā na kījiye
shādāb zaḳhm hote haiñ zikr-e-rafīq se
jo dard so chukā hai jagāyā na kījiye
ruKH se naqab apne haTaya na kijiye
badli mein hum ko chand dikhaya na kijiye
muddat se muntazir hai karen aap se sawal
KHamosh rah ke hum ko sataya na kijiye
ruswaiyon se ishq ki lagta hai Dar mujhe
mazi ki dastan sunaya na kijiye
dauran-e-ishq mein main bahut roya kiya hun
le le ke un ka nam rulaya na kijiye
shadab zaKHm hote hain zikr-e-rafiq se
jo dard so chuka hai jagaya na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.