ruKH tera mahtab ki surat
ruḳh tirā māhtāb kī sūrat
aañkh jām-e-sharāb kī sūrat
merī fikr-e-suḳhan bhī rañgīñ hai
tere husn-e-shabāb kī sūrat
merī āñkhoñ meñ aa ke bas jaao
ek rañgīn ḳhvāb kī sūrat
mere dil par muhīt ho jaao
kaif-e-jām-e-sharāb kī sūrat
mujh ko marġhūb hai tirī āvāz
naġhma-hā-e-rabāb kī sūrat
jin ke sar meñ havā samā.ī thī
miT ga.e vo habāb kī sūrat
un kī merī misāl hai 'sīmāb'
shabnam-o-āftāb kī sūrat
ruKH tera mahtab ki surat
aankh jam-e-sharab ki surat
meri fikr-e-suKHan bhi rangin hai
tere husn-e-shabab ki surat
meri aankhon mein aa ke bas jao
ek rangin KHwab ki surat
mere dil par muhit ho jao
kaif-e-jam-e-sharab ki surat
mujh ko marghub hai teri aawaz
naghma-ha-e-rabab ki surat
jin ke sar mein hawa samai thi
miT gae wo habab ki surat
un ki meri misal hai 'simab'
shabnam-o-aftab ki surat
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 186)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.