ruKHsaron pe gul mahke aankhon mein haya aai
ruḳhsāroñ pe gul mahke āñkhoñ meñ hayā aa.ī
ye kis ne tumheñ dekhā ye kis kī qazā aa.ī
zulfoñ kī mahak le kar phir mauj-e-sabā aa.ī
phir yaad hameñ un kī ek ek adā aa.ī
ai bād-e-sahar-gāhī kyā soch ke āḳhir tū
rangīnī-e-shab un kī āñkhoñ meñ jagā aa.ī
jaise ġham-e-sahrā ke tanhā hamīñ rahrau haiñ
har moḌ pe kānoñ meñ apnī hī sadā aa.ī
jo kuchh bhī guzartī thī guzrī shab-e-ġham dil par
shabnam ko ye kyā sūjhī phūloñ ko rulā aa.ī
vo kis kā nasheman thā ai barq-e-tapāñ jis ke
jalte hue tinkoñ se bhī bū-e-vafā aa.ī
kal sub.h bahār-e-gul thī raqs-kunāñ har-sū
gulshan ko tirī ḳhushbū dīvāna banā aa.ī
ruKHsaron pe gul mahke aankhon mein haya aai
ye kis ne tumhein dekha ye kis ki qaza aai
zulfon ki mahak le kar phir mauj-e-saba aai
phir yaad hamein un ki ek ek ada aai
ai baad-e-sahar-gahi kya soch ke aaKHir tu
rangini-e-shab un ki aankhon mein jaga aai
jaise gham-e-sahra ke tanha hamin rahrau hain
har moD pe kanon mein apni hi sada aai
jo kuchh bhi guzarti thi guzri shab-e-gham dil par
shabnam ko ye kya sujhi phulon ko rula aai
wo kis ka nasheman tha ai barq-e-tapan jis ke
jalte hue tinkon se bhi bu-e-wafa aai
kal subh bahaar-e-gul thi raqs-kunan har-su
gulshan ko teri KHushbu diwana bana aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.