ruKHsat-e-sham hai aur wade ka saya bhi nahin
ruḳhsat-e-shām hai aur va.ade kā saaya bhī nahīñ
ab takalluf na karūñ jā ke taqāzā ho jā.ūñ
kab se huuñ maahī be aab zamāne kī tarah
koī nekī ho tire paas to dariyā ho jā.ūñ
kitne pechīda masā.il kī thakan hai mujh meñ
ik zarā soch luuñ tujh ko tar-o-tāza ho jā.ūñ
kitne pahlū haiñ ka.ī rañg chhupe haiñ mujh meñ
abhī aisā huuñ jo tū chāhe to vaisā ho jā.ūñ
apne siine meñ haiñ Thahrī huī sāñseñ kab se
zalzala ban ke to aa maiñ tah-o-bālā ho jā.ūñ
vo rifāqat pe razā-mand nahīñ hai to na ho
kyā maiñ us shaḳhs ke hote hue tanhā ho jā.ūñ
be-yaqīnī hai kuchh imroz meñ itnī 'maz.har'
jī meñ aatā hai ki andesha-e-fardā ho jā.ūñ
ruKHsat-e-sham hai aur wade ka saya bhi nahin
ab takalluf na karun ja ke taqaza ho jaun
kab se hun mahi be aab zamane ki tarah
koi neki ho tere pas to dariya ho jaun
kitne pechida masail ki thakan hai mujh mein
ek zara soch lun tujh ko tar-o-taza ho jaun
kitne pahlu hain kai rang chhupe hain mujh mein
abhi aisa hun jo tu chahe to waisa ho jaun
apne sine mein hain Thahri hui sansen kab se
zalzala ban ke to aa main tah-o-baala ho jaun
wo rifaqat pe raza-mand nahin hai to na ho
kya main us shaKHs ke hote hue tanha ho jaun
be-yaqini hai kuchh imroz mein itni 'mazhar'
ji mein aata hai ki andesha-e-farda ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.