rulaya jis ne mujhko ashk-e-farhat
rulāyā jis ne mujh ko ashk-e-farhat
vo zikr-e-ġham thā yā zikr-e-mohabbat
na jaane ishq meñ kuchh ḳhaas kyā hai
bhalī lagne lagī hai apnī sūrat
hamesha zehn ne rokā hai mujh ko
magar dil kar hī detā hai baġhāvat
maiñ mil kar baat karnā chāhtā huuñ
nikālo to kabhī thoḌī sī fursat
jidhar se jī kare aa jaao ghar meñ
na hai dīvār koī naañ koī chhat
'azīm' ik baar dekho phir palaT kar
bulātī hai raqīboñ kī rifāqat
rulaya jis ne mujh ko ashk-e-farhat
wo zikr-e-gham tha ya zikr-e-mohabbat
na jaane ishq mein kuchh KHas kya hai
bhali lagne lagi hai apni surat
hamesha zehn ne roka hai mujh ko
magar dil kar hi deta hai baghawat
main mil kar baat karna chahta hun
nikalo to kabhi thoDi si fursat
jidhar se ji kare aa jao ghar mein
na hai diwar koi nan koi chhat
'azim' ek bar dekho phir palaT kar
bulati hai raqibon ki rifaqat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.