Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rumuz-e-chashm-e-karam se jo ba-kamal hue

Imtiyaz Saghar

rumuz-e-chashm-e-karam se jo ba-kamal hue

Imtiyaz Saghar

MORE BYImtiyaz Saghar

    rumūz-e-chashm-e-karam se jo bā-kamāl hue

    nisāb-e-ishq meñ vo log lā-zavāl hue

    harīm-e-nāz tirī bazm se nikāle hue

    safīr-e-nūr hue ā.ina-misāl hue

    kabhī guzar to sahī bhī is ḳharābe se

    kabhī to dekh ki ham kitne pā.emāl hue

    havā-e-kū-e-tamannā pukārtī hai jinheñ

    vo log ḳhvāb hue gard-e-māh-o-sāl hue

    musāfiroñ se kaho hadd-e-shahr ḳhatm huī

    ye dasht-e-hijr hai chehre yahāñ ḳhayāl hue

    ye kaisī sub.h-e-tamannā hai ghar ke āñgan meñ

    asīr-e-zulmat-e-shab mere naunihāl hue

    koī to dekhe ye mahbūbiyat manzil bhī

    jamāl-e-kaun-o-makāñ nazr-e-ḳhadd-o-ḳhāl hue

    rumuz-e-chashm-e-karam se jo ba-kamal hue

    nisab-e-ishq mein wo log la-zawal hue

    harim-e-naz teri bazm se nikale hue

    safir-e-nur hue aaina-misal hue

    kabhi guzar to sahi tu bhi is KHarabe se

    kabhi to dekh ki hum kitne paemal hue

    hawa-e-ku-e-tamanna pukarti hai jinhen

    wo log KHwab hue gard-e-mah-o-sal hue

    musafiron se kaho hadd-e-shahr KHatm hui

    ye dasht-e-hijr hai chehre yahan KHayal hue

    ye kaisi subh-e-tamanna hai ghar ke aangan mein

    asir-e-zulmat-e-shab mere naunihaal hue

    koi to dekhe ye mahbubiyat ki manzil bhi

    jamal-e-kaun-o-makan nazr-e-KHadd-o-KHal hue

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now