rut KHizan ki hai aur hari hui hai
rut ḳhizāñ kī hai aur harī huī hai
shāḳh-e-gul tū to bāvrī huī hai
kyā uḌānoñ ko hausla degī
ai havā tū to ḳhud Darī huī hai
zindagī mil kabhī to fursat se
baat abhī tujh se sarsarī huī hai
koī manzar nahīñ hai āñkhoñ meñ
ratjagoñ kī thakan bharī huī hai
qurbateñ karvaTeñ badaltī huī
aur anā beach meñ dharī huī hai
ye jo baiThe haiñ sar jhukā.e hue
aaj in se kharī kharī huī hai
ḳhud-kalāmī hai ye tirī 'nusrat'
mat abhī soch shā.irī huī hai
rut KHizan ki hai aur hari hui hai
shaKH-e-gul tu to bawri hui hai
kya uDanon ko hausla degi
ai hawa tu to KHud Dari hui hai
zindagi mil kabhi to fursat se
baat abhi tujh se sarsari hui hai
koi manzar nahin hai aankhon mein
ratjagon ki thakan bhari hui hai
qurbaten karwaTen badalti hui
aur ana beach mein dhari hui hai
ye jo baiThe hain sar jhukae hue
aaj in se khari khari hui hai
KHud-kalami hai ye teri 'nusrat'
mat abhi soch shairi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.