rut suhani hai uski aankhon mein
rut suhānī hai us kī āñkhoñ meñ
raat raanī hai us kī āñkhoñ meñ
dil kī ḳhvāhish hai Duub marne kī
itnā paanī hai us kī āñkhoñ meñ
dekh bhar le to khil uThe gulshan
vo javānī hai us kī āñkhoñ meñ
ishq jo jāvedānī hotā hai
jāvedānī hai us kī āñkhoñ meñ
hiir rāñjhe ko jis meñ jiinā hai
vo kahānī hai us kī āñkhoñ meñ
nau-shagufta anaar kā buuTā
zāfrānī hai us kī āñkhoñ meñ
ik ishāre pe chal paḌe duniyā
vo ravānī hai us kī āñkhoñ meñ
laakh ho shahr ḳhushbuoñ vaale
rājdhānī hai us kī āñkhoñ meñ
ik hai behad zahīn sī laḌkī
ik divānī hai us kī āñkhoñ meñ
hai agar lafz-e-zindagī mushkil
to ma.ānī haiñ us kī āñkhoñ meñ
rut suhani hai us ki aankhon mein
raat rani hai us ki aankhon mein
dil ki KHwahish hai Dub marne ki
itna pani hai us ki aankhon mein
dekh bhar le to khil uThe gulshan
wo jawani hai us ki aankhon mein
ishq jo jawedani hota hai
jawedani hai us ki aankhon mein
hir ranjhe ko jis mein jina hai
wo kahani hai us ki aankhon mein
nau-shagufta anar ka buTa
zafrani hai us ki aankhon mein
ek ishaare pe chal paDe duniya
wo rawani hai us ki aankhon mein
lakh ho shahr KHushbuon wale
rajdhani hai us ki aankhon mein
ek hai behad zahin si laDki
ek diwani hai us ki aankhon mein
hai agar lafz-e-zindagi mushkil
to maani hain us ki aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.