rutba kuchh aashiqi mein na kam hai faqir ka
rutba kuchh āshiqī meñ na kam hai faqīr kā
haiñ jis ke sab sanam vo sanam hai faqīr kā
takiya ise na bhuul ke kahnā kabhī miyāñ
takiya nahīñ ye bāġh-e-iram hai faqīr kā
rahtā hai phir vo phūltā misl-e-sadā suhāg
jis gul-badan pe lutf-o-karam hai faqīr kā
ghaT jaa.eñ jis ko dekh ke lākhoñ tirī ghaTā
ai abr-e-tar vo dīda-e-nam hai faqīr kā
likhtā hai bin tarāshe hī harfoñ ke joḌ-toḌ
ai ḳhush-navīs ye vo qalam hai faqīr kā
zill-e-humā bhī vaañ se sa.ādat kare husūl
jis sar-zamīñ pe naqsh-e-qadam hai faqīr kā
haiñ zer-e-sāya us ke hazāroñ gadā-o-shāh
bairaq ise na keh ye alam hai faqīr kā
kyūñkar likhe na faqr ke shān-o-shikoh ko
yaaro 'nazīr' par bhī karam hai faqīr kā
rutba kuchh aashiqi mein na kam hai faqir ka
hain jis ke sab sanam wo sanam hai faqir ka
takiya ise na bhul ke kahna kabhi miyan
takiya nahin ye bagh-e-iram hai faqir ka
rahta hai phir wo phulta misl-e-sada suhag
jis gul-badan pe lutf-o-karam hai faqir ka
ghaT jaen jis ko dekh ke lakhon teri ghaTa
ai abr-e-tar wo dida-e-nam hai faqir ka
likhta hai bin tarashe hi harfon ke joD-toD
ai KHush-nawis ye wo qalam hai faqir ka
zill-e-huma bhi wan se saadat kare husul
jis sar-zamin pe naqsh-e-qadam hai faqir ka
hain zer-e-saya us ke hazaron gada-o-shah
bairaq ise na keh ye alam hai faqir ka
kyunkar likhe na faqr ke shan-o-shikoh ko
yaro 'nazir' par bhi karam hai faqir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.