ru bhi aks-e-ru bhi main
rū bhī aks-e-rū bhī maiñ
maiñ bhī maiñ huuñ tū bhī maiñ
ḳhud se bach kar jā.ūñ kahāñ
huuñ goyā har sū bhī maiñ
le kar ruḳh par itne kalañk
lagtā huuñ ḳhush-rū bhī maiñ
shāmil-e-mai paimāna bhar
piitā huuñ aañsū bhī maiñ
sadqe maiñ un āñkhoñ ke
siikh gayā jaadū bhī maiñ
us kī bazm-e-nāz se duur
us ke ham-pahlū bhī maiñ
diid se be-parvā ho kar
shauq se be-qābū bhī maiñ
bair hī rakhtā mujh se sanam
hotā gar hindū bhī maiñ
vaa.e tilism-e-naqsh-e-farañg
bhuul gayā urdu bhī maiñ
qaa.el ḳhud bhī huuñ 'haqqī'
shāġhil-e-illā-hū bhī maiñ
ru bhi aks-e-ru bhi main
main bhi main hun tu bhi main
KHud se bach kar jaun kahan
hun goya har su bhi main
le kar ruKH par itne kalank
lagta hun KHush-ru bhi main
shamil-e-mai paimana bhar
pita hun aansu bhi main
sadqe main un aankhon ke
sikh gaya jadu bhi main
us ki bazm-e-naz se dur
us ke ham-pahlu bhi main
did se be-parwa ho kar
shauq se be-qabu bhi main
bair hi rakhta mujh se sanam
hota gar hindu bhi main
wae tilism-e-naqsh-e-farang
bhul gaya urdu bhi main
qael KHud bhi hun 'haqqi'
shaghil-e-illa-hu bhi main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.