rudad-e-jaan kahen jo zara dam mile hamein
rūdād-e-jāñ kaheñ jo zarā dam mile hameñ
us dil ke rāste meñ ka.ī ḳham mile hameñ
labbaik pahle ham ne kahā thā rasūl-e-husn
ho kār-zār-e-ishq to parcham mile hameñ
aa.e ik aisā zaḳhm jo bharnā na ho kabhī
ya.anī har ek zaḳhm kā marham mile hameñ
din meñ jahāñ sarāb mile the hameñ vahāñ
aa.ī jo raat qatra-e-shabnam mile hameñ
tum jaise aur log bhī hoñge jahān meñ
ye baat aur hai ki bahut kam mile hameñ
jab saath the to mil ke bhī milnā na ho sakā
jab se bichhaḌ ga.e ho to paiham mile hameñ
aur phir hameñ bhī ḳhud pe bahut pyaar aa gayā
us kī taraf khaḌe hue jab ham mile hameñ
jo umr-bhar kā saath nibhātā na mil sakā
vaise to zindagī meñ bahut ġham mile hameñ
rudad-e-jaan kahen jo zara dam mile hamein
us dil ke raste mein kai KHam mile hamein
labbaik pahle hum ne kaha tha rasul-e-husn
ho kar-zar-e-ishq to parcham mile hamein
aae ek aisa zaKHm jo bharna na ho kabhi
yani har ek zaKHm ka marham mile hamein
din mein jahan sarab mile the hamein wahan
aai jo raat qatra-e-shabnam mile hamein
tum jaise aur log bhi honge jahan mein
ye baat aur hai ki bahut kam mile hamein
jab sath the to mil ke bhi milna na ho saka
jab se bichhaD gae ho to paiham mile hamein
aur phir hamein bhi KHud pe bahut pyar aa gaya
us ki taraf khaDe hue jab hum mile hamein
jo umr-bhar ka sath nibhata na mil saka
waise to zindagi mein bahut gham mile hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.