Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh ke malbe se lipTe nam ka andaza na kar

Aziz Nabeel

ruh ke malbe se lipTe nam ka andaza na kar

Aziz Nabeel

MORE BYAziz Nabeel

    ruuh ke malbe se lipTe nam andāza na kar

    mujh se mil to mere pahle ġham andāza na kar

    varna merī ret ḳhud meñ jazb kar legī tujhe

    sarsarī sahrā ke pech-o-ḳham andāza na kar

    dhuup TuuTī huī taḳhtī pe bārish ne likhā

    ghar ke andar baiTh kar mausam andāza na kar

    ai havā-e-tāza aglī manziloñ samt dekh

    mujh meñ phaile habs ke aalam andāza na kar

    bad-samā.at shaḳhs ye sab terī vus.at meñ kahāñ

    sāz-e-jāñ larzish-e-paiham andāza na kar

    sair kar sarv-o-saman ke darmiyāñ ai gul-nazhād

    āhū-e-vahshat-zada ke ram andāza na kar

    yuuñ na ho āñkheñ tirī patthar ho jaa.eñ 'nabīl'

    is sadī ke qissa-e-ādam andāza na kar

    ruh ke malbe se lipTe nam ka andaza na kar

    mujh se mil to mere pahle gham ka andaza na kar

    warna meri ret KHud mein jazb kar legi tujhe

    sarsari sahra ke pech-o-KHam ka andaza na kar

    dhup ki TuTi hui taKHti pe barish ne likha

    ghar ke andar baiTh kar mausam ka andaza na kar

    ai hawa-e-taza agli manzilon ki samt dekh

    mujh mein phaile habs ke aalam ka andaza na kar

    bad-samaat shaKHs ye sab teri wusat mein kahan

    saz-e-jaan ki larzish-e-paiham ka andaza na kar

    sair kar sarw-o-saman ke darmiyan ai gul-nazhad

    aahu-e-wahshat-zada ke ram ka andaza na kar

    yun na ho aankhen teri patthar ki ho jaen 'nabil'

    is sadi ke qissa-e-adam ka andaza na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now