ruh ko pahle KHaksar kiya
ruuh ko pahle ḳhāksār kiyā
phir badan maiñ ne taar taar kiyā
dard ko shola-e-ḳhumār kiyā
shīsha-e-ġham ko sharmsār kiyā
uñgliyāñ uThte uThte girne lagīñ
ham ne jab āsmān paar kiyā
maiñ nihattā thā kaise bach paatā
aur pīchhe se us ne vaar kiyā
rā.egāñ ho rahī thī tanhā.ī
terī yādoñ kā kārobār kiyā
jab nazar meñ girah paḌī dekhī
shab ne ḳhvāboñ ko āb-dār kiyā
dil ke sajde lahū-luhān hue
kin duāoñ ne beḌā paar kiyā
log kitne bichhaḌ ga.e 'sājid'
ḳhud ko ham ne bhī be-hisār kiyā
ruh ko pahle KHaksar kiya
phir badan main ne tar tar kiya
dard ko shola-e-KHumar kiya
shisha-e-gham ko sharmsar kiya
ungliyan uThte uThte girne lagin
hum ne jab aasman par kiya
main nihatta tha kaise bach pata
aur pichhe se us ne war kiya
raegan ho rahi thi tanhai
teri yaadon ka karobar kiya
jab nazar mein girah paDi dekhi
shab ne KHwabon ko aab-dar kiya
dil ke sajde lahu-luhan hue
kin duaon ne beDa par kiya
log kitne bichhaD gae 'sajid'
KHud ko hum ne bhi be-hisar kiya
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 187)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.