ruh ko taDpa rahi hai unki yaad
ruuh ko taḌpā rahī hai un kī yaad
dard ban kar chhā rahī hai un kī yaad
ishq se ghabrā rahī hai un kī yaad
rukte rukte aa rahī hai un kī yaad
vo hañse vo zer-e-lab kuchh kah uThe
ḳhvāb se dikhlā rahī hai un kī yaad
maiñ to ḳhuddārī kā qaa.il huuñ magar
kyā karūñ phir aa rahī hai un kī yaad
ab ḳhayāl-e-tark-e-rabt-o-zabt hai
ḳhud-baḳhud sharmā rahī hai un kī yaad
ruh ko taDpa rahi hai un ki yaad
dard ban kar chha rahi hai un ki yaad
ishq se ghabra rahi hai un ki yaad
rukte rukte aa rahi hai un ki yaad
wo hanse wo zer-e-lab kuchh kah uThe
KHwab se dikhla rahi hai un ki yaad
main to KHuddari ka qail hun magar
kya karun phir aa rahi hai un ki yaad
ab KHayal-e-tark-e-rabt-o-zabt hai
KHud-baKHud sharma rahi hai un ki yaad
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 260)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.