ruh-o-badan ki na-hamwari baDhti jati hai
rūh-o-badan kī nā-hamvārī baḌhtī jaatī hai
duniyā meñ aa kar dushvārī baḌhtī jaatī hai
vaqt se sirf itnā hī hotā hai ki vaqt ke saath
nasl-e-ādam kī makkārī baḌhtī jaatī hai
jhagḌā kam nahīñ hotā hai kufr-o-islām ke beach
allāh aur iblīs kī yaarī baḌhtī jaatī hai
jitnā ziyāda baḌhtā hai bāhar ta.amīrī kaam
indar utnī hī mismārī baḌhtī jaatī hai
ḳhatm huā jaatā hai daḳhl-e-dil sab kāmoñ se
aur duniyā kī hisse-dārī baḌhtī jaatī hai
bandar se insān bane the ab insān se kyā
rozāna ye fikr hamārī baḌhtī jaatī hai
aadmī hote jaate haiñ sab pāgal-pan kā shikār
aur mashīnoñ kī hushyārī baḌhtī jaatī hai
ruh-o-badan ki na-hamwari baDhti jati hai
duniya mein aa kar dushwari baDhti jati hai
waqt se sirf itna hi hota hai ki waqt ke sath
nasl-e-adam ki makkari baDhti jati hai
jhagDa kam nahin hota hai kufr-o-islam ke beach
allah aur iblis ki yari baDhti jati hai
jitna ziyaada baDhta hai bahar tamiri kaam
indar utni hi mismari baDhti jati hai
KHatm hua jata hai daKHl-e-dil sab kaamon se
aur duniya ki hisse-dari baDhti jati hai
bandar se insan bane the ab insan se kya
rozana ye fikr hamari baDhti jati hai
aadmi hote jate hain sab pagal-pan ka shikar
aur mashinon ki hushyari baDhti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.