ruh se kab ye jism juda hai
ruuh se kab ye jism judā hai
in bātoñ meñ kyā rakkhā hai
rafta rafta vo bhī mujh ko
bhuul rahā hai bhuul chukā hai
rut pairāhan badal rahī hai
pattā pattā TuuT rahā hai
in āñkhoñ kā har afsāna
mere hī ḳhvāboñ kī sadā hai
har chehra jānā-pahchānā
shahr hī apnā chhoTā sā hai
ruh se kab ye jism juda hai
in baaton mein kya rakkha hai
rafta rafta wo bhi mujh ko
bhul raha hai bhul chuka hai
rut pairahan badal rahi hai
patta patta TuT raha hai
in aankhon ka har afsana
mere hi KHwabon ki sada hai
har chehra jaana-pahchana
shahr hi apna chhoTa sa hai
- Book : Tarkash (Pg. 19)
- Author : Shakeel Gwaliory
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.