ruh shadab dil ghani kar lo
ruuh shādāb dil ġhanī kar lo
ham faqīroñ se dostī kar lo
chashm-e-bīnā nahīñ to sab kuchh gum
chāhe kitnī hī raushnī kar lo
ek chūlhā alag huā ghar meñ
ek dīvār bhī khaḌī kar lo
qīmateñ kam kabhī nahīñ hoñgī
apnī fihrist meñ kamī kar lo
vaqt hai aaj mehrbāñ tum par
aur kuchh din sikandarī kar lo
dushmanoñ kī duā darāzi-e-umar
dost kahte haiñ ḳhud-kushī kar lo
aaj kā kaam kal pe mat chhoḌo
aaj bhī der kyoñ abhī kar lo
ruh shadab dil ghani kar lo
hum faqiron se dosti kar lo
chashm-e-bina nahin to sab kuchh gum
chahe kitni hi raushni kar lo
ek chulha alag hua ghar mein
ek diwar bhi khaDi kar lo
qimaten kam kabhi nahin hongi
apni fihrist mein kami kar lo
waqt hai aaj mehrban tum par
aur kuchh din sikandari kar lo
dushmanon ki dua daraazi-e-umar
dost kahte hain KHud-kushi kar lo
aaj ka kaam kal pe mat chhoDo
aaj bhi der kyon abhi kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.