rukhi-sukhi kha sakte the
rūkhī-sūkhī khā sakte the
terā saath nibhā sakte the
kaaT ke jaḌ ik-dūje kī ham
kitne phuul ugā sakte the
ham talvār uThā nahīñ paa.e
ham āvāz uThā sakte the
ġhurbat kā ehsān thā ham par
ik thālī meñ khā sakte the
tum ta.abīr ḳhudā se māñgo
ham bas ḳhvāb dikhā sakte the
ham ko ronā aa jaatā to
ham bhī shor machā sakte the
ḳhvāboñ ne jo aag lagā.ī
us ko ashk bujhā sakte the
rukhi-sukhi kha sakte the
tera sath nibha sakte the
kaT ke jaD ik-duje ki hum
kitne phul uga sakte the
hum talwar uTha nahin pae
hum aawaz uTha sakte the
ghurbat ka ehsan tha hum par
ek thaali mein kha sakte the
tum tabir KHuda se mango
hum bas KHwab dikha sakte the
hum ko rona aa jata to
hum bhi shor macha sakte the
KHwabon ne jo aag lagai
us ko ashk bujha sakte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.