ruTh jaega to mujhse aur kya le jaega
ruuTh jā.egā to mujh se aur kyā le jā.egā
bas yahī hogā ki jiine kā mazā le jā.egā
sardiyoñ kī dopahar se dhuup le jā.egā vo
garmiyoñ kī shaam se ThanDī havā le jā.egā
sabz mausam kī tanābeñ khīñch legā jism se
aur bāloñ se mire kaalī ghaTā le jā.egā
apne andar zard pattoñ kī tarah bikhrūñ gī meñ
mere andar se mujhe patjhaḌ uḌā le jā.egā
ruTh jaega to mujh se aur kya le jaega
bas yahi hoga ki jine ka maza le jaega
sardiyon ki dopahar se dhup le jaega wo
garmiyon ki sham se ThanDi hawa le jaega
sabz mausam ki tanaben khinch lega jism se
aur baalon se mere kali ghaTa le jaega
apne andar zard patton ki tarah bikhrun gi mein
mere andar se mujhe patjhaD uDa le jaega
- Book : Goonj (Pg. 111)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.