ruTh jaane ki aadaten na gain
ruuTh jaane kī ādateñ na ga.iiñ
dil jalāne kī ādateñ na ga.iiñ
zaḳhm khā kar bhī tujh se naam tirā
gungunāne kī ādateñ na ga.iiñ
pyaar se jo bhī mil gayā us ko
dukh sunāne kī ādateñ na ga.iiñ
chāñd kī sharm se naqāboñ meñ
muñh chhupāne kī ādateñ na ga.iiñ
do diloñ ko ujaaḌ ke hañsnā
na zamāne kī ādateñ na ga.iiñ
chāñd jaisā har ik hasīñ chehra
dil ko bhāne kī ādateñ na ga.iiñ
bīsiyoñ baar aazmā ke hameñ
āzmāne kī ādateñ na ga.iiñ
raat ke pichhle pahar ai 'ayyāz'
ghar ko aane kī ādateñ na ga.iiñ
ruTh jaane ki aadaten na gain
dil jalane ki aadaten na gain
zaKHm kha kar bhi tujh se nam tera
gungunane ki aadaten na gain
pyar se jo bhi mil gaya us ko
dukh sunane ki aadaten na gain
chand ki sharm se naqabon mein
munh chhupane ki aadaten na gain
do dilon ko ujaD ke hansna
na zamane ki aadaten na gain
chand jaisa har ek hasin chehra
dil ko bhane ki aadaten na gain
bisiyon bar aazma ke hamein
aazmane ki aadaten na gain
raat ke pichhle pahar ai 'ayyaz'
ghar ko aane ki aadaten na gain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 588)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.