sabit raha falak mere nalon ke samne
sābit rahā falak mire nāloñ ke sāmne
Thahrī sipar habāb ke bhāloñ ke sāmne
muusā haiñ ġhash meñ gesuoñ vāloñ ke sāmne
gul hai charāġh-e-tūr bhī kāloñ ke sāmne
phūloñ kā rang zard hai gāloñ ke sāmne
sumbul meñ bal nahīñ tire bāloñ ke sāmne
rakhvā.e jhaaḌ us ne nihāloñ ke sāmne
qalmeñ lagīñ bilor kī Dāloñ ke sāmne
jaatā huuñ jab ḳhizāñ meñ nihāloñ ke sāmne
āñkhoñ se nahreñ bahtī haiñ thāloñ ke sāmne
phūle shafaq to zard ho gāloñ ke sāmne
paanī bhare ghaTā tire bāloñ ke sāmne
taare hue ġhurūb ḳhat-o-ḳhāl dekh kar
goroñ ke paañv uTh ga.e gāloñ ke sāmne
āñkhoñ meñ phirte haiñ nahīñ aate haiñ rū-ba-rū
parde paḌe haiñ dekhne vāloñ ke sāmne
dekhā hai 'āshiqoñ ne brahman kī aañkh se
har but ḳhudā hai chāhne vāloñ ke sāmne
chhuT jā.eñge asiir chhupā zulf-e-ḳham najam
kaTtī haiñ beḌiyāñ tire bāloñ ke sāmne
betāb dast-e-shauq haiñ joban ke rū-ba-rū
bose meñ jaañ ba-lab tire gāloñ ke sāmne
ifrāt-e-mai se mujh ko ye josh-e-surūr hai
bajvā.ūñ jal-tarañg meñ piyāloñ ke sāmne
jild-e-badan hai taḳhta-e-mashq-e-sipāh-e-ġham
rahtī hai ye kitāb risāloñ ke sāmne
āñkheñ tumhārī dekh ke kuchh sūjhtā nahīñ
bhūlā huuñ chaukḌī maiñ ġhazāloñ ke sāmne
darvāzoñ par butoñ ke lagāyā kiye alaav
holī jalā.ī ham ne shivāloñ ke sāmne
zulfoñ meñ dekhtā huuñ tirā chehra-e-sabīh
labrez jām-e-shīr hai kāloñ ke sāmne
tere gadā se band hai 'ālam kā nātiqa
aate nahīñ javāb savāloñ ke sāmne
khīñche butoñ ne apnī taraf zāhidoñ ke dil
qibla-numā phire haiñ shivāloñ ke sāmne
chorī se bosa-e-kaf-e-pā leñ jo ai parī
hoñT apne chuum luuñ tire gāloñ ke sāmne
pahuñchā falak ko faqr kā rutba huzūr-e-aish
kambal chaḌhe haiñ charḳh-e-do-shāloñ ke sāmne
ahl-e-kitāb haiñ saf-e-mizhgāñ ke rū-ba-rū
kāġhaz ke daste aa.e risāloñ ke sāmne
fayyāz sā.iloñ se nahīñ karte sar-kashī
shīshoñ ke sar jhuke haiñ piyāloñ ke sāmne
dast-e-jafā uThā.eñge kyā jism-e-zār par
kāñTā hoñ teġh-e-nāz ke chhāloñ ke sāmne
shīshe ko husn-e-garm ne paara banā diyā
ā.īne uḌ ga.e tire gāloñ ke sāmne
teġh-e-nigah ko motiyoñ kī Daab chāhiye
ā.īna rakh ke dekhiye chhāloñ ke sāmne
jalte rahe butoñ kī huzūrī meñ sham'-rū
pariyāñ satī huī haiñ shivāloñ ke sāmne
ham-chashmoñ par lagā.ī haiñ us but ne goliyāñ
toḌe hue haiñ sher ġhazāloñ ke sāmne
jaada bunat banā mirī vahshat ke faiz se
goTe ke go kohar hue chhāloñ ke sāmne
mere hunar kā koī nahīñ qadr-dāñ 'munīr'
sharminda huuñ maiñ apne kamāloñ ke sāmne
sabit raha falak mere nalon ke samne
Thahri sipar habab ke bhaalon ke samne
musa hain ghash mein gesuon walon ke samne
gul hai charagh-e-tur bhi kalon ke samne
phulon ka rang zard hai galon ke samne
sumbul mein bal nahin tere baalon ke samne
rakhwae jhaD us ne nihaalon ke samne
qalmen lagin bilor ki Dalon ke samne
jata hun jab KHizan mein nihaalon ke samne
aankhon se nahren bahti hain thaalon ke samne
phule shafaq to zard ho galon ke samne
pani bhare ghaTa tere baalon ke samne
tare hue ghurub KHat-o-KHal dekh kar
goron ke panw uTh gae galon ke samne
aankhon mein phirte hain nahin aate hain ru-ba-ru
parde paDe hain dekhne walon ke samne
dekha hai 'ashiqon ne brahman ki aankh se
har but KHuda hai chahne walon ke samne
chhuT jaenge asir chhupa zulf-e-KHam najam
kaTti hain beDiyan tere baalon ke samne
betab dast-e-shauq hain joban ke ru-ba-ru
bose mein jaan ba-lab tere galon ke samne
ifraat-e-mai se mujh ko ye josh-e-surur hai
bajwaun jal-tarang mein piyalon ke samne
jild-e-badan hai taKHta-e-mashq-e-sipah-e-gham
rahti hai ye kitab risalon ke samne
aankhen tumhaari dekh ke kuchh sujhta nahin
bhula hun chaukDi main ghazalon ke samne
darwazon par buton ke lagaya kiye alaw
holi jalai hum ne shiwalon ke samne
zulfon mein dekhta hun tera chehra-e-sabih
labrez jam-e-shir hai kalon ke samne
tere gada se band hai 'alam ka natiqa
aate nahin jawab sawalon ke samne
khinche buton ne apni taraf zahidon ke dil
qibla-numa phire hain shiwalon ke samne
chori se bosa-e-kaf-e-pa len jo ai pari
honT apne chum lun tere galon ke samne
pahuncha falak ko faqr ka rutba huzur-e-aish
kambal chaDhe hain charKH-e-do-shaalon ke samne
ahl-e-kitab hain saf-e-mizhgan ke ru-ba-ru
kaghaz ke daste aae risalon ke samne
fayyaz sailon se nahin karte sar-kashi
shishon ke sar jhuke hain piyalon ke samne
dast-e-jafa uThaenge kya jism-e-zar par
kanTa hon tegh-e-naz ke chhaalon ke samne
shishe ko husn-e-garm ne para bana diya
aaine uD gae tere galon ke samne
tegh-e-nigah ko motiyon ki Dab chahiye
aaina rakh ke dekhiye chhaalon ke samne
jalte rahe buton ki huzuri mein sham'-ru
pariyan sati hui hain shiwalon ke samne
ham-chashmon par lagai hain us but ne goliyan
toDe hue hain sher ghazalon ke samne
jada bunat bana meri wahshat ke faiz se
goTe ke go kohar hue chhaalon ke samne
mere hunar ka koi nahin qadr-dan 'munir'
sharminda hun main apne kamalon ke samne
- Muntakhabul-Alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.