Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sadgi to hamari zara dekhiye eatibar aap ke wade par kar liya

Saba Akbarabadi

sadgi to hamari zara dekhiye eatibar aap ke wade par kar liya

Saba Akbarabadi

MORE BYSaba Akbarabadi

    sādgī to hamārī zarā dekhiye e.atibār aap ke va.ade par kar liyā

    baat to sirf ik raat thī magar intizār aap umr-bhar kar liyā

    ishq meñ uljhaneñ pahle kam na thiiñ aur paidā nayā dard-e-sar kar liyā

    log Darte haiñ qātil parchhā.īñ se ham ne qātil ke dil meñ bhī ghar kar liyā

    zikr ik bevafā aur sitamgar thā aap aisī bātoñ se kyā vāsta

    aap to bevafā aur sitamgar nahīñ aap ne kis liye muñh udhar kar liyā

    zindagī-bhar ke shikve gile the bahut vaqt itnā kahāñ thā ki dohrāte ham

    ek hichkī meñ kah Daalī sab dāstāñ ham ne qisse ko yuuñ muḳhtasar kar liyā

    be-qarārī milegī mujhe na sukūñ chain chhin jā.egā niiñd uḌ jā.egī

    apnā anjām sab ham ko ma.alūm thā aap ne dil saudā magar kar liyā

    zindagī ke safar meñ bahut duur tak jab koī dost aaya na ham ko nazar

    ham ne ghabrā ke tanhā.iyoñ se 'sabā' ek dushman ko ḳhud ham-safar kar liyā

    sadgi to hamari zara dekhiye eatibar aap ke wade par kar liya

    baat to sirf ek raat ki thi magar intizar aap ka umr-bhar kar liya

    ishq mein uljhanen pahle hi kam na thin aur paida naya dard-e-sar kar liya

    log Darte hain qatil ki parchhain se hum ne qatil ke dil mein bhi ghar kar liya

    zikr ek bewafa aur sitamgar ka tha aap ka aisi baaton se kya wasta

    aap to bewafa aur sitamgar nahin aap ne kis liye munh udhar kar liya

    zindagi-bhar ke shikwe gile the bahut waqt itna kahan tha ki dohraate hum

    ek hichki mein kah Dali sab dastan hum ne qisse ko yun muKHtasar kar liya

    be-qarari milegi mujhe na sukun chain chhin jaega nind uD jaegi

    apna anjam sab hum ko malum tha aap ne dil ka sauda magar kar liya

    zindagi ke safar mein bahut dur tak jab koi dost aaya na hum ko nazar

    hum ne ghabra ke tanhaiyon se 'saba' ek dushman ko KHud ham-safar kar liya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Unknown

    Unknown

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now