sae hain gosh-bar-awaz zara aahista
saa.e haiñ gosh-bar-āvāz zarā āhista
moniso aaj kī shab zikr-e-vafā āhista
chāñd ke paañv ruke tham ga.e uḌte bādal
zikr kis āriz-o-gesū kā chalā āhista
kitne din aa.e kafan oḌhe hue ḳhvāboñ kā
shab ne kholī tirī yādoñ kī qabā āhista
kyā ḳhabar agle baras ajnabī ho jaa.eñ ham
TūTte jaate haiñ paimān-e-vafā āhista
aaj phir zaḳhm-e-tamannā se mahak uThtī hai
koī paiġhām liye aa.ī sabā āhista
aañkh ne dekhā na ho dil to magar jaane hai
kaun detā hai darīchoñ pe sadā āhista
sae hain gosh-bar-awaz zara aahista
moniso aaj ki shab zikr-e-wafa aahista
chand ke panw ruke tham gae uDte baadal
zikr kis aariz-o-gesu ka chala aahista
kitne din aae kafan oDhe hue KHwabon ka
shab ne kholi teri yaadon ki qaba aahista
kya KHabar agle baras ajnabi ho jaen hum
TuTte jate hain paiman-e-wafa aahista
aaj phir zaKHm-e-tamanna se mahak uThti hai
koi paigham liye aai saba aahista
aankh ne dekha na ho dil to magar jaane hai
kaun deta hai darichon pe sada aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.