sae jo sang-e-rah the raste se haT gae
saa.e jo sañg-e-rāh the raste se haT ga.e
dil jal uThā to ḳhud hī añdhere simaT ga.e
din bhar jale jo dhuup ke bistar pe dosto
sūraj chhupā to chādar-e-shab meñ simaT ga.e
vo karb thā ki dil kā lahū aañch de uThā
aisī havā chalī ki garebān phaT ga.e
vo fikr thī ki dīda-o-dil muzmahil hue
vo gard thī ki ghar ke dar-o-bām aT ga.e
aa.ī jo mauj paañv zamīñ par na jam sake
dariyā chaḌhā to kitne safīne ulaT ga.e
phailā ġhubār-e-ġham to kahīñ muñh chhupā liyā
āñdhī uThī to ghar ke sutūñ se lipaT ga.e
kahte the jis ko qurb vahī fāsla banā
badlā jo ruḳh nadī ne ka.ī shahr kaT ga.e
gumnām the to sab kī taraf dekhte the ham
shohrat milī to apnī ḳhudī meñ simaT ga.e
dastak huī to dil kā darīcha na khul sakā
aa.e aur aa ke yaad ke jhoñke palaT ga.e
maiñ ḳhud hī apnī raah kā patthar banā rahā
har chand aap bhī mire raste se haT ga.e
dil ko kisī kī yaad kā ġham chāTtā rahā
yuuñ merī zindagī ke ka.ī saal ghaT ga.e
zindān-e-ġham kā dhyān bhī ḳhanjar se kam na thā
zanjīr kī khanak se mire paañv kaT ga.e
riste raheñge dīda-e-hasrat se umr bhar
'zulfī' jo zaḳhm pā-e-talab se chimaT ga.e
sae jo sang-e-rah the raste se haT gae
dil jal uTha to KHud hi andhere simaT gae
din bhar jale jo dhup ke bistar pe dosto
suraj chhupa to chadar-e-shab mein simaT gae
wo karb tha ki dil ka lahu aanch de uTha
aisi hawa chali ki gareban phaT gae
wo fikr thi ki dida-o-dil muzmahil hue
wo gard thi ki ghar ke dar-o-baam aT gae
aai jo mauj panw zamin par na jam sake
dariya chaDha to kitne safine ulaT gae
phaila ghubar-e-gham to kahin munh chhupa liya
aandhi uThi to ghar ke sutun se lipaT gae
kahte the jis ko qurb wahi fasla bana
badla jo ruKH nadi ne kai shahr kaT gae
gumnam the to sab ki taraf dekhte the hum
shohrat mili to apni KHudi mein simaT gae
dastak hui to dil ka daricha na khul saka
aae aur aa ke yaad ke jhonke palaT gae
main KHud hi apni rah ka patthar bana raha
har chand aap bhi mere raste se haT gae
dil ko kisi ki yaad ka gham chaTta raha
yun meri zindagi ke kai sal ghaT gae
zindan-e-gham ka dhyan bhi KHanjar se kam na tha
zanjir ki khanak se mere panw kaT gae
riste rahenge dida-e-hasrat se umr bhar
'zulfi' jo zaKHm pa-e-talab se chimaT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.