sae ke liye hai na Thikane ke liye hai
saa.e ke liye hai na Thikāne ke liye hai
dīvār to āñgan meñ uThāne ke liye hai
dekho to har ik shaḳhs ke hāthoñ meñ haiñ patthar
pūchho to kahīñ shahr banāne ke liye hai
rakh dete haiñ patthar mirī tahrīr ke uupar
kahte haiñ ye kāġhaz ko dabāne ke liye hai
dar dil kā 'suhail' aaj zarā band na karnā
ik shaḳhs abhī lauT ke aane ke liye hai
sae ke liye hai na Thikane ke liye hai
diwar to aangan mein uThane ke liye hai
dekho to har ek shaKHs ke hathon mein hain patthar
puchho to kahin shahr banane ke liye hai
rakh dete hain patthar meri tahrir ke upar
kahte hain ye kaghaz ko dabane ke liye hai
dar dil ka 'suhail' aaj zara band na karna
ek shaKHs abhi lauT ke aane ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.