saf auraq hain likhne ki jagah Khaali hai
saaf aurāq haiñ likhne kī jagah ḳhālī hai
ya.anī us maañg meñ taare kī jagah ḳhālī hai
nahr ke paar gayā yaar nahīñ palTā kabhī
car meñ ab bhī kamīne kī jagah ḳhālī hai
koī ḳhush-rañg dilāsa hai to likhte jaao
merī dīvār pe na.are kī jagah ḳhālī hai
aaj bhī khaaT pe bosīda badan dekhtā huuñ
baap ke ba.ad bhī kone kī jagah ḳhālī hai
chaak par rakkhī huī duniyā mukammal kar do
āḳhirī jism pe chehre kī jagah ḳhālī hai
merī ġhazleñ haiñ sabhī ba.ad tire be-matl.a
saare naġhmāt meñ mukhḌe kī jagah ḳhālī hai
ma.azarat yaar nayā ishq nahīñ ho saktā
dil mayassar hai na siine kī jagah ḳhālī hai
saf auraq hain likhne ki jagah KHali hai
yani us mang mein tare ki jagah KHali hai
nahr ke par gaya yar nahin palTa kabhi
car mein ab bhi kamine ki jagah KHali hai
koi KHush-rang dilasa hai to likhte jao
meri diwar pe nare ki jagah KHali hai
aaj bhi khaT pe bosida badan dekhta hun
bap ke baad bhi kone ki jagah KHali hai
chaak par rakkhi hui duniya mukammal kar do
aaKHiri jism pe chehre ki jagah KHali hai
meri ghazlen hain sabhi baad tere be-matla
sare naghmat mein mukhDe ki jagah KHali hai
mazarat yar naya ishq nahin ho sakta
dil mayassar hai na sine ki jagah KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.