saf-goi rasti achchhi lagi
sāf-goī rāstī achchhī lagī
baat us ko vāqa.ī achchhī lagī
intihā-e-dard-o-ġham ke bāvajūd
tohmat-e-āvārgī achchhī lagī
kaun jaane zehn kī be-mā.egī
shakl-o-sūrat zāhirī achchhī lagī
shahr ke ārā.ishī māhaul meñ
gaañv kī ik sāñvlī achchhī lagī
aadmī andar kā mere mar gayā
mujh ko apnī ḳhud-kushī achchhī lagī
saf-goi rasti achchhi lagi
baat us ko waqai achchhi lagi
intiha-e-dard-o-gham ke bawajud
tohmat-e-awargi achchhi lagi
kaun jaane zehn ki be-maegi
shakl-o-surat zahiri achchhi lagi
shahr ke aaraishi mahaul mein
ganw ki ek sanwli achchhi lagi
aadmi andar ka mere mar gaya
mujh ko apni KHud-kushi achchhi lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.