saghar uTha ke zohd ko rad humne kar diya
sāġhar uThā ke zohd ko rad ham ne kar diyā
phir zindagī ke jazr ko mad ham ne kar diyā
vaqt apnā zar-ḳharīd thā hañgām-e-mai-kashī
lamhe ko tuul de ke abad ham ne kar diyā
dil pand-e-vā.izāñ se huā hai asar-pazīr
us ko ḳharāb-e-sohbat-e-bad ham ne kar diyā
tasbīh se subū ko badal kar ḳhudā ko aaj
bālā-tar az-shumār-o-adad ham ne kar diyā
baada thā yā urūs-e-firāsat thī jaam meñ
jo kah diyā bahak ke sanad ham ne kar diyā
misroñ meñ gesuoñ kī fasāhat kā bhar ke rañg
apnī har ik ġhazal ko sanad ham ne kar diyā
tashbīh de ke qāmat-e-jānāñ ko sarv se
ūñchā har ek sarv kā qad ham ne kar diyā
saghar uTha ke zohd ko rad hum ne kar diya
phir zindagi ke jazr ko mad hum ne kar diya
waqt apna zar-KHarid tha hangam-e-mai-kashi
lamhe ko tul de ke abad hum ne kar diya
dil pand-e-waizan se hua hai asar-pazir
us ko KHarab-e-sohbat-e-bad hum ne kar diya
tasbih se subu ko badal kar KHuda ko aaj
baala-tar az-shumar-o-adad hum ne kar diya
baada tha ya urus-e-firasat thi jam mein
jo kah diya bahak ke sanad hum ne kar diya
misron mein gesuon ki fasahat ka bhar ke rang
apni har ek ghazal ko sanad hum ne kar diya
tashbih de ke qamat-e-jaanan ko sarw se
uncha har ek sarw ka qad hum ne kar diya
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 19.06.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.