sahab dilon se rah mein aankhen mila ke dekh
sāhab diloñ se raah meñ āñkheñ milā ke dekh
rakhtā hai tū bhī dil to use aazmā ke dekh
pahchānñe kī pyaar ko koshish kabhī to kar
ḳhud ko kabhī to apne badan se haTā ke dekh
yā lazzatoñ ko zahr samajh aur duur rah
yā sho.ala-e-gunāh meñ dāman jalā ke dekh
har-chand reg-zār sahī zindagī magar
pal-bhar ko apne jism kā jaadū jagā ke dekh
saa.e kī tarah saath chalegī koī sadā
sunsān jañgaloñ meñ akele bhī jā ke dekh
sahab dilon se rah mein aankhen mila ke dekh
rakhta hai tu bhi dil to use aazma ke dekh
pahchanne ki pyar ko koshish kabhi to kar
KHud ko kabhi to apne badan se haTa ke dekh
ya lazzaton ko zahr samajh aur dur rah
ya shoala-e-gunah mein daman jala ke dekh
har-chand reg-zar sahi zindagi magar
pal-bhar ko apne jism ka jadu jaga ke dekh
sae ki tarah sath chalegi koi sada
sunsan jangalon mein akele bhi ja ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.