sahab ke harza-pan se har ek ko gila hai
sahab ke harza-pan se har ek ko gila hai
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
sāhab ke harza-pan se har ek ko gila hai
maiñ jo nibāhtā huuñ merā hai hausla hai
chaudah ye ḳhānvāde haiñ chaar pīr-tan meñ
chishtiyya sab se achchhe ye zor silsila hai
phir kuchh ga.e huoñ kī mutlaq ḳhabar na paa.e
kyā jāniye kidhar ko jaatā ye qāfila hai
bār-e-garāñ uThānā kis vāste azīzo
hastī se kuchh adam tak thoḌā hī fāsla hai
de gāliyāñ hazāroñ sun matl.a is ġhazal kā
kahne lage ki 'inshā' is kā ye sila hai
sahab ke harza-pan se har ek ko gila hai
main jo nibahta hun mera hai hausla hai
chaudah ye KHanwade hain chaar pir-tan mein
chishtiyya sab se achchhe ye zor silsila hai
phir kuchh gae huon ki mutlaq KHabar na pae
kya jaaniye kidhar ko jata ye qafila hai
bar-e-garan uThana kis waste azizo
hasti se kuchh adam tak thoDa hi fasla hai
de galiyan hazaron sun matla is ghazal ka
kahne lage ki 'insha' is ka ye sila hai
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.